galat gumaan na kar meri khushk aankhon ka
galat gumaan na kar meri khushk aankhon ka..
in aankhon ne sailaab kai dekhen hain..
maasum armaano ki mautien dekhi hai
khoobsurat sapno ko tut ta dekha hai..
gairon ki ruswai dekhi hai..
apno per bharosa tut ta dekha hai..
itna roya hun mein ki..
khud apni aankho ko sukhta dekha hai..
galat gumaan na kar meri khushk aankhon ka..
in aankhon ne sailaab kai dekhen hain..

0 Comments:
Post a Comment
Subscribe to Post Comments [Atom]
<< Home